My attitude is based on how you treat me, treat me like an angel & I will take you to heaven. ♥
Saturday, 20 October 2012
Friday, 19 October 2012
Dua...
Tu Jo Sitaron Ki Tamanna Krey Kabhi,
Sitary Toot K Teri Palkon Mein Sama Jaeyn..
Tu Jo Roshni Ki Talab Krey Kabhi
Sooraj Doob Kr Bhi Ubhar Aey..
Tu Jo Husn Ko Chahey Kabhi,
Chand Aangan Mein Tery Basera Krey..
Dard Ki Koi Anjani Rutt,
Tery Qadmon Ko Na Chhoo Kr Guzrey..
Bas Yehi Dua Ik Terey Liye Kay
Tu Hamesha Hamesha Khush Rahy…
Faisal Gee...
Wednesday, 17 October 2012
Tuesday, 16 October 2012
Tumhen Jab Kabhi Milain Fursatain...
Tumhen jab kabhi milen fursaten
Mere dar ko bakhsh do raunqain,
Kisi shab tera bhi visal ho
Mujhey phir milen wohi qurbatain,
Meri zeest main bhi hayat ho
Meri khatm hon sabhi hasratain,
Tu jo khud chal kay aaye kabhi
Mere pas hon sabhi manzilain
Tu jo aaye to aaye gi bahar bhi
Terey aaney se khil uthain konpalain,
Tumhen jab kabhi milen fursaten
Mere dar ko bakhsh do raunqain...!
♥ N0SH ♥
Written by: Memuna
Bhool Gaye Mujh Ko Dost Puraney Merey..
Bohat se gham hain, batao men kis kis ki baat karun
kahun dard e dil ya be-his zamaney ka hal kahun,
Kya kya sunaun gee kya kya suno gay
kab roney lago gay kahan has paro gey,
Tum bhi kya bas yunhii chal paro gey
kya dard ki mere tum dawa na karo gey,
Mujhey aasmanon ko chuna nahin hai
Na chahat hai mujh ko kisi aur shay ki,
Agar ho mumkin to itna karo tum
Mujhey dost tum merey puraney lota do,
Jinhen muyassar ho waqt bohat sa
Shikayat na ho unhen waqt ki kami ki,
Magar ye haqeeqat hai k ab doston ko
Muyassar nahin wo fursatain suhani,
Na seenay men un k wo dil ab raha hai
Na chahaten raheen hain unki purani,
Bohat se gham hain, batao men kis kis ki baat karun
Kahun dard e dil ya be-his zamaney ka hal kahun!
Written by: Memuna
Ghuroor...
Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey!
Milna parrey ga aakhir ik din zaroor hum sey
Daaman bachaaney waaley ye be'rukhi hey kesi!
Keh do agar huwa hey koi qasoor hum sey
Hum chorr dein ge tum sey yun baat cheet karna
Tum poochtey phiro ge apna qasoor hum sey
Hum cheen lein ge tum sey ye shaan-e-be'niyazi
Tum maantey phiro ge apna ghuroor hum sey...!
Monday, 15 October 2012
Saturday, 13 October 2012
Friday, 12 October 2012
Thursday, 11 October 2012
Tumhara naam likh likh kar mittana bhool jati houn
Tumhara naam likh likh kar mittana bhool jati houn
Tumhain jab yaad karti hun bhulana bhool jati houn,
Bahot si aisi batain hain jo mery dil main rehti hain
Magar jub tum se milti houn sunnana bhool jati houn,
Magar jub tum se milti houn sunnana bhool jati houn,
Tumharey baad ab har pal bari mushkil se kat-ta hy
Main aksar tum ko yeh batana bhool jati houn,
Tumhara naam likh likh kar mittana bhool jati houn
Tumhain jab yaad karti hun bhulana bhool jati houn!
Wednesday, 10 October 2012
Tuesday, 9 October 2012
Monday, 8 October 2012
Sunday, 7 October 2012
Saturday, 6 October 2012
Friday, 5 October 2012
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai.....
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai, Yeh Kitaab Bhi Kya Kitaab Hai,
Kahin Ek Haseen Sa Khawaab Hai, Kahin Jaan Leva Azaab Hai,
Kahin Chaaon Hai Kahin Dhoop Hai, Kahin Ek Haseen Sa Roop Hai,
Kai Chehray Is Main Chupay Huye, Ek Ajeeb Si Yeh Nikab Hai,
Kahin Kho Dia Kahin Paa Liya, Kahin Roo Dia Kahin Gaa Liya,
Kahin Cheen Leti Hi Har Khushi, Kahi Meherban Be Hisab Hai,
Kahin Ansoon Ki Hai Dastaan, Kahin Muskurahatoon Ka beyaan Hai,
Kahin Barkatoon Ki Hain Baarishain, Kahin Tishniggi Behisab Hai,
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai, Yeh Kitaab Bhi Kya Kitaab Hai,
Kahin Ek Haseen Sa Khawaab Hai, Kahin Jaan Leva Azaab Hai...!
Kash Aye Samandar Main Tera Hissa Hoti
Kash Aye Samandar Main
Tera Hissa Hoti
Gehrai Men Tanhai Men Andhere Me Para Hua
Bejan Sa Gumna Sa Ik Pathar Hoti,
Halaat O Mausam Kay Badlao Se Tum Me
Aajata Talatum To Main
Heran Na Hoti
Issi Alam Men Guzar Jatin Kyi Sadian Muj Pe
Wakt Ke Qaid Se Main
Pareshan Na Hoti
Ehsas Ki Dunya Se Bohat Door Bohat Door
Pathar Dil Logon Ki Tarah
Pathar Hoti
Kash Aye Samandar Main Tera Hissa Hoti
Gehrai Men Tanhai Men Andhere Me Para Hua
Bejan Sa Gumna Sa Ik Pathar Hoti...!
Written by: Memuna
Thursday, 4 October 2012
Koi Tumse Pooche Kaun Hoon Main
Koi Tumse Pooche Kaun Hoon Main
Tum Keh Dena Koi Khaas Nahin,
Ek Dost Hai Kachha Pakka Sa,
Ek Jhoot Hai Aadha Saccha Sa,
Jazbaat Ko Dhake Ek Parda Bas,
Ek Bahana Hai Accha Accha Sa.
Jeevan Ka Ek Aisa Saathi Hai,
Jo Paas Ho Kar Bhi Paas Nahin,
Koi Tumse Pooche Kaun Hoon Main,
Keh Dena Koi Khaas Nahin.
Hawa Ka Ek Suhana Jhoka Hai,
Kabhi Nazuk To Kabhi Toofan Sa,
Shakl Dekh Kar Jo Nazrein Jhuka Le,
Kabhi Apna To Kabhi Begana Sa.
Zindagi Ka Ek Aisa Humsafar,
Jo Samandar Hai, Par Dil Ki Pyaas Nahin,
Koi Tumse Pooche Kaun Hoon Main,
Keh Dena Koi Khaas Nahin.
Ek Saathi Jo Ankahin Kuch Batein Keh Jaata
Hai,
Yadon Me Jiska Ek Dhundla Chehra Reh Jaata
Hai,
Yun Toh Uske Na Hone Ka Kuch Gum Nahin,
Par Kabhi Kabhi Ankhon Se Ansu Ban Ke Beh
Jaata Hai.
Yun Rehta Toh Mere Tasavvur Me Hi,
Par In Ankhon Ko Uski Talash Nahin,
Koi Tumse Pooche Kaun Hoon Main,
Keh Dena Koi Khaas Nahin....!
Nosh ♥ Moon
Subscribe to:
Posts (Atom)